MADHUSHALA

coming soon

Friday 8 July 2011

Mirza Ghalib

aah  ko chaahiye  ik 'umr  asar hone  tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN  kya  guzre hai qatre  pe guhar hone tak
       
aashiqee  sabr  talab   aur  tamanna   betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

ham ne  maana  ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN  bhee  hooN ik  inaayat  ki  nazar  hone tak

yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
garmi-e-bazm  hai  ik raqs-e-sharar  hone tak

GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

No comments:

Post a Comment